Thursday 1 August 2013

Umar ki Naqdi

Ibn-eInsha wrote this in his last days, when he was in his last stages of laryngeal carcinoma...


UMAR KI NAQDI
Ibn-e-Insha

Ab Umer Ki Naqdi Khatam Hui
Ab Hum Ko Udhar Ki Hajat Hai
Hai Koi Jo Sahookar Bane?
Hai Koi Jo De-wan Haar Bane?
Kuch Saal, Maheene Din Logo!
Par Sood Biyaj Ke Bin Logo!

Haan. Apni Jaan Ke Khazanay Se
Haan, Umer Ke Tosha-khanay Se
Kia Koi Bhi Sahookar Nahi?
Kia Koi Bhi Dewanhaar Nahi?
Jab Naam Udhar Ka Aya Hai
Kion Sab Ne Sar Ko Jhukaya Hai

Kuch Kaam Humein Nimtanay Hain
Jinhain Jaan-ne Walay Janay Hain
Kuch Pyar Dular Ke Dhandhe Hain
Kuch Jag Ke Dosre Phande Hain
Hum Maangte Nahi Hazar Baras
Dus Paanch Baras Do Chaar Baras
Haan, Sood Biyaj Bhi De Lain Ge
Haan Aur Khiraj Bhi De Lain Ge

Asaan Bane, Dushwar Bane
Par Koi To Dewanhaar Bane
Tum Kaun, Tumhara Naam Hai Kia?
Kuch Hum Se Tum Ko Kaam Hai Kia?
Kion Iss Majmay Main Ai Ho?
Kuch Mangti Ho? Kuch Lai Ho?
Ye Karobaar Ke Bateein Hain
Yeh Naqd Udhar Ke Baatein Hain
Hum Beythe Hain Kashkol Liey
Sab Umrr Ke Nakdi Khatam Liey

Ger Sher Ke Naatay Ai Ho
Tab Samjho Jald Judai Ho
Ab Geet Gaya Sangeet Gaya
Haan Sher Ka Mausam Beet Gaya
Ab Putjhur Aye Paat Girain
Kuch Subh Girain, Kuch Raat Girain
Ye Apne Yaar Puranay Hain
Ek Umer Se Hum Ko Jane Hain
In Sab Ke Paas Hai Maal Buhat
Haan Umer Ke Mah-o-saal Buhat
In Sab Ko Hum Ne Bulaya Hai
Aur Jholi Ko Pheylaya Hai
Tum Jao Tou Unn Se Baat Karain
Hum Tum Se Na Mulakat Karain

Kia Paanch Baras?
Kia Umer Apne Ke Paanch Baras?
Tum Jaan Ki Theli Laai Ho?
Kia Pagal Ho ? Soadai Ho?
Jab Umer Ka Akhair Ata Hai
Her Din Sadd-yaan Ban Jata Hai
Jeene Ki Hawas He Nirali Hai
Hai Kaun Jo Iss Se Khale Hai

Kia Maut Se Pehle Marna Hai?
Tum Ko To Buhat Kuch Kerna Hai
Phir Tum Ho Humhare Kaun Bhala
Haan Tum Se Humhara Kia Rishta?
Kia Sood Biyaaj Ka Lalach Hai??
Kissi Aur Khiraj Ka Lalach Hai?
Tum Sohni Ho Mann-mohni Ho
Tum Ja Ker Poori Umer Jiyo

Ye Panch Baras, Ye Chaar Baras
Chhin Jayein To Lagain Hazar Baras
Sab Dost Gaye Sab Yaar Gaye
Thay Jitne Sahookar Gaye
Bas Ek Ye Naari Baithi Hai!
Ye Kaun Hai? Kia Hai? Kaise Hai?
Haan Umer Humain Darkar Bhi Hai!
Haan Jeene Se Humain Piyar Bhi Hai

Jub Maangain Jivan Ki Gharian
Gustaakh Akhian Kite Ja Larian
Hum Qerz Tumhain Lauta Den Ge
Kuch Aur Bhi Ghar-ian Laadain Ge
Jo Saa-at-e-Maah-o-Saal Nahi
Wo Gharian Jin Ko Zawaal Nahi
Lo Apnay Ji Main Utaar Lia
Lo Hum Ne Tum Se Udhaar Lia